Qamar Jalalabadi
  • HOME 🏡😎
  • GALLERY 📖👏
  • TRIBUTE (1) 🙏🌺
  • TRIBUTE (2) 🙏🌺
  • Ghazals 💖🌷
  • Poster Gallery 🔯🔯
  • Best songs 1940s 🎼✍️
  • Best songs 1950s 🎼✍️
  • Best songs 1960s 🎼✍️
  • Filmography 1940s
  • Filmography 1950s
  • Filmography 1960s
  • Filmography 1970s to 1990s

GHAZALS WRITTEN BY QAMAR JALALABADI

Picture
​ 1)AAWAAZ DE RAHI HAI
Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar mujhe

Shayad mile kinara wahin doobkar mujhe

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi

Khone ke baad mil gayi apni khabar mujhe

Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera

Ai bewafa dikha to zara bhool kar mujhe

Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya

Le jaa raha hai kaun idhar se udhar mujhe

​Duniya ka har nazara nigahon se chheen lo

Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar mujhe


​2)DIL PARESHAN HAI...
Dil pareshan hai raat bhaari hai
Raat kya umra yun guzaari hai…

Wo hasin fitratan shikari hai

Dena aawaz kiski baari hai..

Maut kya zindagi ko maregi

Zindagi zindagi ki maari hai..

Subah aayi nahi bulaayi gayi

Raat guzri nahi guzaari hai..

Uska jalwaa na dekh paaye hum

Pardadari ki pardadari hai…

3)IK HASIN LAJAWAAB
Ik hasin laajawaab dekha hai

Raat ko aafataab dekha hai..

Gora mukhda yeh surkh gaal tere

Chandni me gulaab dekha hai…

Nargisi aankh zulf shabrangi

Badalon ka jawaab dekha hai…

Jhoomte jaam sa chhalakta badan

Ek jaam-e-sharaab dekha hai..

Hum to mil kar naa mil sake tumse

Tumko dekha ke khwaab dekha hai…


4)YEH BHI KYA RANG...
Yeh bhi kya rang-e-mohabatt hai kahan aa pohnche

Har taraf apni hi surat hai kahan aa pohnche…

Koyi insaan kisi insaan ka tarafdaar nahi

Kya yahi roz-e-qayamat hai kahan aa pohnche…

Humne to unse mohabatt ka kiya tha waada

Ab to khud hi se mohabatt hai kahan aa pohnche…

Kal to apno se bhi umeed na rakhte the koyi

Aaj gaeron se shikayat hai kahan aa pohnche…

Jo bhi karta hai wafa unse wafa karte hain

Yeh wafa hai ke tijarat hai kahan aa pohnche...

5)KHET PAANI KO TARASTE
Khet paani ko tarasate dekhe

Megh saagar pe barasate dekhe…

Kahin saaya hai na manzil ka nishaan

Har taraf raste hi raste dekhe..

Khoob bazaar hai duniya teri

Sabse insaan hi saste dekhe..

​Ishq ke raaj me jaa nikley the

Heere pathar se bhi saste dekhe…

Tod baithe the jo sab zanjeeren

Zulf ke jaal me phaste dekhe..

​Kya tamaasha tha mera ro dena

Yaar dil kholke haste dekhe…
Paa ke sab kuchh bhi na hum shaad huye

​Lakhon roti ko tarasate dekhe..

Aaye the pyar ki daulat dene
Har taraf teer baraste dekhe…
6)​AA GAYA DIL KISSI PE
​Aa gaya dil kissipe aana tha
Aapka husn ik bahana tha

Iptada-e-shabab bhi kya thi
Chand taaron me aashiyana tha

Tinke tinke se mil ke roye hum
Jaise har tinka aashiyana tha

Ab to hai kunj kafas se badhtar
​Aap rahte to aashiyana tha

Barq ka shukriya adaa kar loon
Kitna be-noor aashiyana tha

Maine ghutkar kafas me dam todaa
Saamne mera aashiyana tha

​Barq ko aasmaan se aana pada
Ek chhotasa aashiyana tha

​Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen
Na kafas tha na aashiyana tha.
​
​
7)YAARAB TERE KARAM SE
​Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum

Duniya me pi ke khald me tauba karenge hu

Yun rasme-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum
Tum muntazir rahoge na aaya karenge hum

Aaine me khud apna tamasha karenge hum
Yun bhi shab-e-firaaq guzaara karenge hum

Jab taq na nazar aaoge aisa karenge hum
Har roz ik Khuda ko taraasha karenge hum

Tujhko bithake doorse dekha karenge hum
Yun bhi tere guroorse khela karenge hum

Jaa tujhse beniyaaz huye Bhule tera zikra
Tu chahega to teri Tamanna karenge hum

8)YAAR AATA NAZAR...
Yaar aata nazar nahi aata
Dard jaata nazar nahi aata
​
Jholi phaila chuke Mohabbat ki
Koyi Daata nazar nahi aata

Ab to koyi bhi kuve-ulfat me
Aata jaata nazar nahi aata

​Log kahte hain geet hai Jeewan
Koyi gaata nazar nahi aata

​Ab yakeen ho chala ke unka haath
Haath aata nazar nahi aata
9)HAI SAARE JAG KA ...
Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune
Magar jo jiske kaabil hai wahi usko diya tune

Kissiko deke daulat tune uski chheen li neenden
Kissiko muflisi dekar bharosa de diya tune

Kissiko ishq dekar saari duniya loot li uski
kissiko sabr dekar saara aalam de diya tune

​Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon
Bahot kam ke mai kaabil tha bahot kuch de diya tune

10)MAI BADI DER ME SAMJHA...
​Main badi der me samjha hoon yeh kya hoti hai
Zindagi apni hi gumbad ki saza hoti hai

Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai
Wo bhi tab hota hai jab Uski raza hoti hai
​
Wasla to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo
Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai

11)HUMNASIN KAISE BATAUN ...
Humnashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai
Khud bataegi Mohabbat ke Mohabbat kya hai

Ishq ko log kyun majaahi samajh baithe hain
​Gar nahi ishq Haqueequat to Haqueequat kya hai

Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash
Ishq ki aag gar dozakh hai to jannat kya hai

Aaya parwana gira shama par jal jal ke mara
Tu abhi soch raha hai ke Mohabbat kya hai
​
Abhi wo aaye the yaa unka khayal aaya tha
Ai mere shauk zara bol haqeequat kya hai
​
Meri badli huyi rangat meri haalat dekho
Dosto ab to samajh lo ke Mohabbat kya hai
12)WOH SITAMGAR HAI...
Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala
Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala

Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par
Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala

Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala

Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein
Hua khamosh teri baat samajhne wala
​
Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi
Khud sawaali hai sawalaat samajhne wala
13)SUNA THA KE VOH AAYENGE...
Suna tha ke voh aayenge anjuman me
Suna tha ke unse mulaquat hogi
Hume kya pata tha,hume kya khabar thi
Na yeh baat hogi,na voh baat hogi…

Mai kahta hoon is dil ko dil me basa lo
Voh kahte hain hum se nigahen mila lo
Nigahon ko maloom kya dil ki haalat
Nigahon nigahon me kya baat hogi

Hume kheench kar ishq laaya hai tera
Tere dar pe hum ne lagaaya hai deraa
Hume hoga jab tak na deedaar tera
Yahin subah hogi yahin shaam hogi

Mohabbat ka jab hum ne chhedaa fasaana
To gore se chehre pe aaya paseena
Jo nikle the ghar se to kya jaante the
Ki yun dhhoop me aaj barsaat hogi…
Suna tha ke voh aayenge anjuman me…



14)TERE KHWAABON ME ...
Tere khwaabon me mohabbat ki duhaai doongaa

Jab koyi aur na hoga to dikhaai doongaa

Saari duniya ko bhula dogi to yaad aaungaa
Koyi aawaaz na hogi to sunaayi doongaa...

Meri duniya me faqat ek Khuda qaafi hai
Doston kitney Khudaaon ko Khudaayi doongaa

Teri hi rooh ka nagmaa hoon agar mit bhi gaya
Mai tujhe doosri duniya se sunaayi doongaa..."

​15)RAHOON KHAMOSH TO...

Rahoon khaamosh to wahshat pe harf aata hai
Karoon gila to mohabatt pe harf aata hai ..

Jo tu nahi to meri bandagi ka matlab kya?
Jo mai nahi to ibaadat pe harf aata hai…
​

Laga na teer magar dil ko humne thaam liya

Nigaahe- naaz ki azmat pe harf aata hai
16)TAARON ANDAR TERA GHAR
Taaron andar tera Ghar hai
Kaanton par mera bistar hai
Thandak dene wale dono
Duniya ke ujiyale dono
Dono par duniya ki nazar hai
Mai bhi Qamar hoon tu bhi Qamar hai…

Apne dard bhare afsaane
Kisne samjhe kisne jaane
Mera jeewan zer - o - jabar hai
Tera jeewan ek safar hai
Tu chhup jaaye kabhi gehan me
Mai bhi tha gumnaam watan me
Dono par duniya ki nazar hai
Mai bhi Qamar hoon tu bhi Qamar hai…

Hardam Roshan duniya Teri
Mera jeewan raen andheri
Mai hoon farsh – e - zameen ka waasi
Tu hai arsh - e - barin ka waasi
Dono me ye farq gazab hai
Phir bhi yeh ik baat ajab hai
Dono par duniya ki nazar hai

Mai bhi Qamar hoon tu bhi Qamar hai…
17)SITAM KI AAG JALAO.
Sitam ki aag jalao ke dil ke daag jalen
Chiraag - e - zabt bujha do ke ye chirag jale

Shab - e - visaal ka aagaaz hai sehar kaisi
Voh door subah ka tara nahi chirag jale

Kahin hawa hai na aandhi magar chiraag hain gul
woh din bhi the ke meri phoonk se chiraag jale

Shab - e - firaaq me ek ek se yeh kahta hoon
Zara mujhe bhi dikhao kahan chirag jale

Tumhare shehar me kya sab tumhare aashiq hain
Yahan to koyi patanga nahi chiraag jale

Manao aaj hamari fanah ki Diwali
Tumhe hamari kasam daar par chiraag jale…

18)BAHAR WALE BAHARON KI
Bahaar wale bahaaron ki baat karte hain
Hum ahl - e - ishq hain yaaron ki baat karte hain

Jo iss zameen ke sawallat na hal kar paaye
Woh log chand sitaaron ki baat karte hain..

Hawas me dhoond rahe hain maza mohabatt ka
Nazar nahi hai nazaron ki baat karte hain…

Jo kaamyaab hain magroor apni aqla ke hain

Jo lutt gaye woh sitaaron ki baat karte hain…
19)MERI PEHLI PEHLI WAFA
Meri pehli pehli wafa ke gale par

Utho bewafaai ki talwar rakh do
Nahi naam milta agar iska koyi
To iss khel ka naam tum pyar rakh do

Rahe yunhi aabaad duniya tumhari
Meri aakhri aarzoo kar do poori
Mujhe Jo bhi achha lagega mai loonga
Idhar maut rakh do udhar pyar rakh do

Agar tujhko mehsoos yeh ho raha hai
Ke jaldi mili hai mujhe meri manzil
To apne mere darmiyaan aaj laakar
Tum apni judaai ki deewar rakh do

Udhar dekho Mera rakeeb aa raha hai
Wo har har kadam par kareeb aa raha hai
Zara sar jhuka lo nigahen Mila lo
Meri gode me apna rukhsaar rakh do

Utha kar naqaab iss jahaan ko badal do
Puraane zameen aasmaa ko badal do
Jahan gam ne nagme bikhere hain apne
Wahin apni paayal ki jhankaar rakh do


Powered by Create your own unique website with customizable templates.
  • HOME 🏡😎
  • GALLERY 📖👏
  • TRIBUTE (1) 🙏🌺
  • TRIBUTE (2) 🙏🌺
  • Ghazals 💖🌷
  • Poster Gallery 🔯🔯
  • Best songs 1940s 🎼✍️
  • Best songs 1950s 🎼✍️
  • Best songs 1960s 🎼✍️
  • Filmography 1940s
  • Filmography 1950s
  • Filmography 1960s
  • Filmography 1970s to 1990s